Breaking News

Shaitaaniyan Lyrics - Badmashiyaan | Ankit Tiwari

Shaitaaniyan Song Lyricsfrom Badmashiyaan by Ankit Tiwari




Singer: Ankit Tiwari
Music: Bobby-Imran
Lyrics: Shabbir Ahmed
Music On: Zee Music



Shab ki baahon mein so jaaye subah
Khwabon ko tere palkon pe doon sajaa

Shab ki baahon mein so jaaye subah
Khwabon ko tere palkon pe doon sajaa

Goonje saanson mein teri hi sadaa
Main lafz tera tu hai meri zubaan
Shataniyaan raat bhar kar le aa toot kar
Badmashiyan raat bhar kar le aa toot kar

Milna tera.. milna mera..
Milna tha kismat mein likha
Manzil bhi thi milon judaa
Raahein mili jo tu milaa

Tu ru-ba-ru hai aarzoo
Aa bhi ja baahon mein tu zaraa
Shataniyaan raat bhar kar le aa toot kar
Badmashiyan raat bhar kar le aa toot kar

Saath tere chalta chalun
Anjaan raahon pe yunhi
Rishta koi sadiyon ka tha
Apna lage hai tu kahin
Tu hi sazaa tu hi duaa
Hai mere jeene ki tu wajah
Shataniyaan raat bhar kar le aa toot kar
Badmashiyan raat bhar kar le aa toot kar