Breaking News

Oh Jaaniya Lyrics – Salim Merchant, Shreya Ghoshal from Wedding Pullav

Oh Jaaniya Lyrics – Salim Merchant, Shreya Ghoshal & Sachin Pandit



Soch main hoon zara
Ye kya ho gaya ?
Lag raha hai sab mujhe, naya naya
Oh jaaniya, haal ye kaisa hai
Ishq ke jaisa hai
Tune mujhe kya, kar diya
(Shreya Ghoshal Begins)
Chhidd gaya, aap hi
Tu woh saaz hai
Khul gaya, aap hi
Tu woh raaz hai
Oh jaaniya, haal ye kaisa hai
Ishq ke jaisa hai
Tune mujhe kya, kar diya
Khwaabon ne guzarishein ki
Aankhon ne shikayatein ki,
Neend aayi na
Haaye
Saanson ne sifarishein ki
Dilon ne himakatein ki,
Huye imtihaan haaye
Dil ko lihaaza pyaar ho gaya
Jaise honthon pe halki si,
Aayi hansi lekin
Aankhein ye gili ho,
Tu hai woh aansoon, jaaniya
Ho o
Waise nadaan hoon, hairaan hoon
Thoda pareshaan hoon
Samjhaaun kya khud ko,
Hans doon ya ro doon, jaaniya
Haan..
Jaagi inn khaahishon ko,
Kaise main sulaaun, jaaniya
Jo bhi ho raha hai,
Kaise main chupaaun, jaaniya
Oh jaaniya, haal ye kaisa hai
Ishq ke jaisa hai
Tune mujhe kya, kar diya